Sach yahin hai - poem in Hindi

Sach yahin hai – poem in Hindi

 

Sach Yahin Hai

 

Tumhe lagta hai sach shabdon ke beech rehta hai?
Ghumavdaar sadak ke mod par baithta hai?
Chaurahe par khada, sirf zor se hansta hai?
Andhere mein sabko aur sab kuch dekhta hai?

Mujhe lagta hai sach na kuch dikhata hai na bolta
Aur na hi kisi darwaze ko kabhie kholta

Sach ek aam aadmi ki tarah jeeta hai
Jhoot ke cheethron ko seeker pahanta hai

Log kehte hain ki jhoot chah hai aur sach aah
Jab jab yeh saath chalein, tab ek kshan ki wah

Sach mano, jhoot bhi toh sachche dil se jeeta hai
Kuch unkahe sach ke silsalon ko seta hai

Sach toh sab taraf hai, jhoot kahin nahin kabhie
Kahanian hum banate bhi hain aur jhutlate bhi

.

.

.

Arvind Passey
Written on: 21 August 2015